Bahut dino'n ki baat hai,
Fizaa ko yaad bhi nahi,
Yeh baat aaj ki nahi,
Bahut dino'n ki baat hai,
Shabaab par bahaar thi,
Fizaa bhi khushgawaar thi,
Naa jaane kyun machal pada,
Mai apne ghar se chal pada,
Kisi ne mujh ko rok kar,
Badi adaa se tok kar,
Kaha tha lot aaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Par mujhe khabar na thi,
Maahol par nazar na thi,
Mai shehar se phira gaya,
Khayaal tha ki paa gaya,
Usse jo mujh se door thim
Magar meri zaroor thi
Aur IK haseen shaam ko,
Main chal pada salaam ko,
Gali ka rang dekh kar,
Na'i tarang dekh kar,
Mujhe badi khushi hu'i,
Mai kuch isi khushi mai tha,
Kisi ne jhaank kar kaha,
Paraa'e ghar se jaaiye,
Meri qasam na aaiye,
Wahi haseen shaam hai,
Bahaar jis ka naam hai,
Chala hun ghar ko chod kar,
Na jaane jaaunga kidhar,
Koi nahi jo tok kar,
Koi nahi jo rok kar,
Kahe ki lot aaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Meri qasam na jaaiye....!
Fizaa ko yaad bhi nahi,
Yeh baat aaj ki nahi,
Bahut dino'n ki baat hai,
Shabaab par bahaar thi,
Fizaa bhi khushgawaar thi,
Naa jaane kyun machal pada,
Mai apne ghar se chal pada,
Kisi ne mujh ko rok kar,
Badi adaa se tok kar,
Kaha tha lot aaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Par mujhe khabar na thi,
Maahol par nazar na thi,
Mai shehar se phira gaya,
Khayaal tha ki paa gaya,
Usse jo mujh se door thim
Magar meri zaroor thi
Aur IK haseen shaam ko,
Main chal pada salaam ko,
Gali ka rang dekh kar,
Na'i tarang dekh kar,
Mujhe badi khushi hu'i,
Mai kuch isi khushi mai tha,
Kisi ne jhaank kar kaha,
Paraa'e ghar se jaaiye,
Meri qasam na aaiye,
Wahi haseen shaam hai,
Bahaar jis ka naam hai,
Chala hun ghar ko chod kar,
Na jaane jaaunga kidhar,
Koi nahi jo tok kar,
Koi nahi jo rok kar,
Kahe ki lot aaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Meri qasam na jaaiye,
Meri qasam na jaaiye....!

No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.