Jab jab dard ka baadal chhaya,
Jab gam ka saaya lehraaya,
Jab aansoo palko'n tak aaya,
Jab yeh tanha dil ghabraaya,
Ham ne dil ko yeh samjhaya,
Dil aakhir tu kyun rota hai....?
Duniya mai yun hi hota hai,
Yeh jo gehre sannaate hain,
Waqt ne sab ko hi baante hain,
Thoda gam hai sab ka qissah,
Thodi dhoop hai sab ka hissah,
Aankh teri bekaar hi nam hai,
Har pal ek naya mosam hai,
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai....?
Jab gam ka saaya lehraaya,
Jab aansoo palko'n tak aaya,
Jab yeh tanha dil ghabraaya,
Ham ne dil ko yeh samjhaya,
Dil aakhir tu kyun rota hai....?
Duniya mai yun hi hota hai,
Yeh jo gehre sannaate hain,
Waqt ne sab ko hi baante hain,
Thoda gam hai sab ka qissah,
Thodi dhoop hai sab ka hissah,
Aankh teri bekaar hi nam hai,
Har pal ek naya mosam hai,
Kyun tu aise pal khota hai,
Dil aakhir tu kyun rota hai....?

No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.