Din mai kab socha karte the soyenge ham raat kahan,
Ab aise aawaarah ghoome'n apne woh haalaat kahan,
Tab the tez rawi par nazaa'n, ab manzil par tanha hain,
Soch rahe hain in hathon se choota tha woh haath kahan,
Kya tum ne un ko dekha hai, kya un se baate'n ki hain....?
Tum ko kya samjhaae'n yaaro khaayi ham ne maat kahan,
Barso'n baad mile ham un se dono the sharmindah se,
Dono ne chahaa bhi lekin phir aati woh baat kahan....!

No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.