Sunday, 13 April 2014

Mai sawaal tha ki jawaab hun,
Tere haatho'n likhi kitaab hun,
Mera lafaz lafaz hai motabar,
Haan mai zindagi ka nisaab hun,
Tu sanwaar de to hun IK du'a,
Tu bigaad de to azaab hun,
Meri azmato'n ka hai taaj tu,
Teri izzatto'n ka mai baab hun,
Jo raees tha tere khuwaab mai,
Mai wahi khanah-e-kharaab hun,
Tere jism ki ragon mai, haan,
Mai dodta khoon-e-naab hun,
Jisse IK sehar ki hai justajoo,
Woh mai
ZIDDI-e-kamkhuw
aab hun....!

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.