Pyaar....!
Lafzon se mai kuch bhi izhaar nahi karta,
Is ka matlab yeh nahi mai us se pyaar nahi karta,
Chahata hun mai usse aaj bhi magar,
Ab pyaar apna jataaya nahi karta,
Tamaasha na ban ja'e kahin meri sachi muhabbat ka,
Is li'e dard apna zaahir nahi karta,
Jo kuch mila hai ussi mai khush hun mai,
Uske li'e Khuda se baar baar taqraar nahi karta,
Par kuch to baat hai iski fitrat mai ZIDDI warnah,
Usse chahane ki khata baar baar nahi karta....!
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.