pRoMiSe Br3aKeR....!
Ae waadah shikan khuwaab dikhana hi nahi tha,
Kyun pyaar kiya tha jo nibhana hi nahi tha,
Is tarah mere haath se daaman na chhudao,
Dil tod ke jaana tha to aana hi nahi tha,
Dil tod ke jaane waale dil ki baat batata ja,
Ab mai dil ko kya samjhaun tu mujh ko samjhata ja,
Allah! na milne ke bahaane the hazaron,
Milne ke li'e koi bahaanah hi nahi tha,
Dekho mere sar phod ke marne ki adaa bhi
Warnah mujhe deewana banana hi nahi tha,
RONE KE LI'E SIRF MUHABBAT HI NAHI THI,
GAM AUR BHI THE DIL KA FASANA HI NAHI THA,
Kya ham se hi kehte na bani dil ki kahani,
Ya gosh bar'aawaz zamanah hi nahi tha,
ZIDDI koi aaya tha meri bakhyagari ko,
Dekha toh gireban ka thikana hi nahi tha....!
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.