Monday, 22 April 2013

Ha'ae taqdeer ke Taiba mujhe jaane na diya....!



Bakhte khufta ne mujhe Roze pe jaane na diya,
Chashm-o-dil seene kaleje se lagaane na diya,
Aah! qismat mujhe duniya ke gamon ne roka,
Ha'ae taqdeer ke Taiba mujhe jaane na diya,
Paaun thak jaate agar paaun banaata sar ko,
Sar ke bal jaata magar zo'f ne jaane na diya,
Sar to sar jaan se jaane ki mujhe hasrat hai,
Mot ne ha'ae mujhe jaan se jaane na diya,
Sharbat-e-deed ne aur aag laga de dil mai,
Tapish-e-dil ko badhaya hai bhujane na diya,
Ab kahaan jaaega naqshah tera mere dil se,
Te'h mai rakha hai isse dil ne gumaane na diya,
Sajdah karta jo mujhe is ki ijaazat hoti,
Kya karun izn mujhe is ka Khuda ne na Diya,
Mere a'amaal ka badla to jahannam hi tha,
Mai to jaata mujhe Sarkaar ne jaane na diya,
Mere a'amaal-e-siyah ne kiya jeena dobar,
Zehar khaata tere irshad ne khane na diya,
Nafs-e-baddkaar ne dil par yeh qayaamat todi,
A'amaal-e-nek kiya bhi to chhupaane na diya,
Aur chamakti si gazal koi padho ae ZIDDI,
Rang apna abhi jamne shu'ara ne na diya....!

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.