Saturday, 7 December 2013

Qaafi arsah beet gaya....!



Qaafi arsah beet gaya jaane ab woh kaisa hoga,
Waqt ki saari kadwi baate'n chup chup hi woh sehta hoga,
Ab bhi bheegi baarish mai woh bin chhatri ke chalta hoga,
Mujh se bichhde arsah beeta ab woh kis se ladta hoga,
Achha tha jo saath hi rehte baad mai usne socha hoga,
Apne dil ki saari baate'n khud hi khud se kehta hoga,
Qaafi arsah beet gaya jaane ab woh kaisa hoga....!

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.