Saturday, 7 December 2013
Dil-e-Sarphira....!
Kon kab kyun dil mai thehra,
Dil ke dil main kya chhupa hai,
Yeh to bas dil ko pata hai,
Kya ajab is dil ki adaa hai,
khAwAhISh'on se aankh micholi khelta hai dil hameshah,
Kashmukash ki bandishe'n bhi jhelta hai dil hamesha,
Chehre peh ishtihaar laga kar ghoomta hai,
Hasrato'n ki numaaish kar ke jhoomta hai,
Yeh samajh na paya koi,
Karta hai dil kyun naadaniyan,
Dil ke laakhon qisse hain aur,
Dil ki laakhon hain kahaniya'n,
Yeh dil jo atka to atak hi jaata hai,
Tadapta hai phir bhi khamosh rehta hai,
Sarphira hai sarphira hai,
Dil to kuch kuch sarphira hai....!
Qaafi arsah beet gaya....!
Qaafi arsah beet gaya jaane ab woh kaisa hoga,
Waqt ki saari kadwi baate'n chup chup hi woh sehta hoga,
Ab bhi bheegi baarish mai woh bin chhatri ke chalta hoga,
Mujh se bichhde arsah beeta ab woh kis se ladta hoga,
Achha tha jo saath hi rehte baad mai usne socha hoga,
Apne dil ki saari baate'n khud hi khud se kehta hoga,
Qaafi arsah beet gaya jaane ab woh kaisa hoga....!

Haraf-e-Aakhir....!
Leta hun uska naam aah-o-bakaa ke saath,
Kitna hasee'n rishtah hai mera Khuda ke saath,
Us ki qubooliyat mai koi shaq nahi raha,
Bheje hain ham ne ashk abke bhi dua ke saath,
Bhujte hu'e charaag ko haathon mai le liya,
Is baar bhi baazi jeet li maine hawa ke saath,
Aa ke bache le mot mujhe zindagi se tu,
Kitna guzaarun aur mai is bewafa ke saath,
Toofaa'n mai mujh ko banna pada uske dast-o-paa,
ZIDDI wagarnah banti na thi naaKhudaa ke saath....!

Kaise....?
Apne chehre se jo zaahir hai chupa'en kaise,
Teri marzi ke mutaabiq nazar aa'en kaise,
Ghar sajane ka tassawwur to bahut baad ka hai,
Pehle yeh ty ho ki is ghar ko bachaa'en kaise,
Qahqaha aankh ke bartao badal deta hai,
Hansne wale tujhe aansun nazar aa'en kaise,
Koi apni hi nazar se to hame'n dekhega,
Ek qatre ko samandar nazar aa'en kaise....?

Kitna mushkil hai....!
Apni aag ko zindah rakhna kitna mushkil hai,
Patthar beech aainah rakhna kitna mushkil hai,
Kitna aasaa'n hai tasweer banana aur'on ki,
Khud ko pas-e-aainah rakhna kitna mushkil hai,
Tumne mandir dekhe honge yeh mera aa'ngan hai,
Ek diya bhi jalta rakhna kitna mushkil hai,
Chullu mai ho dard ka dariya dhiyaan mai uske hont,
Yun bhi khud ko pyaasah rakhna kitna mushkil hai....!

Usse bhool ja....!
Kahan aa ke rukne the raaste, kahan mod tha usse bhool ja,
Woh jo mil gaya usse yaad rakh, jo nahi mila usse bhool ja,
Woh tere naseeb ki barishe'n kisi aur chhat peh baras ga'in,
Dil-e-bekhabar meri baat sun, usse bhool ja usse bhool ja,
Mai to gum tha tere dhiyaan maim teri aas, tere gumaan mai,
Saba keh ga'i mere kaan mai, "mere saath aa usse bhool ja",
Kyun atta huwa hai ghubaar mai, gam-e-zindagi ke fishaar mai,
Woh jo darj tha tere bakht mai so woh ho gaya usse bhool ja,
Jo bisaat-e-jaan hi ulat gaya woh jo raaste se palat gaya,
Usse rokne se hasool kya usse mat bula usse bhool ja,
Tujhe chaand ban ke mila tha jo, tere SAAHIL'on peh khila tha jo,
Woh tha dariya wisaal ka so utar gaya usse bhool ja....!

Sunday, 1 December 2013
December....!
Kabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna bahut apna December,
Laga apna bahut apna December,
Guzar jata hai sara saal yun to,
Nahi katta magar tanha December,
Nahi katta magar tanha December,
Bhala baarish se kya sairaab hoga,
Tumhare wasl ka piyasa December,
Tumhare wasl ka piyasa December,
Woh kab bichhda nahi ab yaad lekin,
Bas itna yaad hai ki tha December,
Bas itna yaad hai ki tha December,
Jama poonji yahi hai umar bhar ki,
Meri tanhai aur Mera December....!
Meri tanhai aur Mera December....!
Subscribe to:
Comments (Atom)