Tuesday, 26 November 2013

Shahar-e-wafaa mai....!


Dekha to mera saayah bhi mujh se judaa mila,
Socha to har kisi se mera silsila mila,
Shahar-e-wafaa mai ab kise ahl-e-wafaa kahe'n,
Ham se gale mila to woh hi bewafa mila,
FURSAT KISSE THI JO MERE HAALAAT POOCHHTA,
HAR SHAKHS APNE BAARE MAI KUCH SOCHTA MILA,
Us ne to khair apno se moda tha muhn ZIDDI,
Maine yeh kya kiya ki mai gairon se jaa mila....!

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.