Roodaad-e-qafas yaad na andaaz-e-fugaan yaad,
Jo beet ga'i, beet ga'i, ab woh kahan yaad,
Tum bhool ga'e ham ko to kya is mai ta'ajub,
Is dor mai karta hai kisse kon kahan yaad,
Qaafi thi tabaahi ke li'e gardish-e-doraan,
Tum aise mai kyun aa ga'e ae jaan-e-jahan yaad,
Apne se rafaabat ka yeh aalam hai ki taubah,
Ham bhool ga'e khud ko woh aa'e hain jahan yaad,
Maazi ke dareenche se kabhi jhaank ke dekho,
Shaayad tumhe aa ja'e mera naam-o-nishaan yaad...!
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.